Rog Aise bhi Gham-e-Yaar Sy Lag Jate Hain By Ahmed Faraz

Aaj hum Ahmed Faraz Sahib ki aik new ghazal Rog Aise bhi Gham-e-Yaar Sy Lag Jate Hain aap k liye dhoond kr laaye hain, aap parhiye aur apne azeez-e-aqaarib ko share ki jiye. mazeed aap agar ahmed faraz sahib ki ghazal aap parhna chahte hain to aap bila jhijhak iss ghazal Suna Hai Log Usay Aankh Bhar K Dekhte Hain By Ahmed Faraz page per jayen aur enjoy krain.

روگ ایسے بھی غم یار سے لگ جاتے ہیں
دَر سے اٹھتے ہیں تو دیوار سے لگ جاتے ہیں

عشق آغاز میں ہلکی سی خلش رکھتا ہے
بعد میں سیکڑوں آزار سے لگ جاتے ہیں

پہلے پہلے ہوس اک آدھ دکان کھولتی ہے
پِھر تو بازار کے بازار سے لگ جاتے ہیں

بےبسی بھی کبھی فرقت کا سبب بنتی ہے
رو نا پائیں تو گل یار سے لگ جاتے ہیں

کرنیں غم کی جو گلیوں میں اڑی پھرتی ہیں
گھر میں لے آؤ تو انبار سے لگ جاتے ہیں

آبلہ آبلہ کر دیتی ہے جب دِل کو ” فراز “
پر وہ الزام جو یزحار سے لگ جاتے ہیں

Rog Aise bhi Gham-e-Yaar Sy Lag Jate Hain

Rog Aise bhi Gham-e-Yaar Sy Lag Jate Hain
Darr Sy Uthte Hain To Deevaar Sy Lagg Jate Hain

Eshq Aaghaaz Main Halki Si Khalish Rakhta Hy
Baad Main Saikroun Aazaar Sy Lagg Jate Hain

Pehle Pehle Havis Ik Aadh Dukaan Kholti Hy
Phir to Bazar k Bazar Sy Lagg Jate Hain

Bebasi Bhi Kabhi Furqat Ka Sabab Banti Hy
Ro Na Paayen To Gal-e-Yaar Sy Lagg Jate Hain

Kirnain Gham Ki Jo Galyoun Main Urri Phirti Hain
Ghar Main Le Aao To Anbaar Sy Lagg Jate Hain

Aabla Aabla Kar Deti Hy Jab Dil Ko “Faraz”
Par Woh Elzaam Jo Ezhaar Sy Lagg Jate Hain

Ahmed Faraz

You may also like...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *