
Shikastah Dil Shikwa Khuda Aur Jeena Mahaal Hy
Rakeeb-e-Jaan Hona Ik Ajab Kamaal Hy . . . . .

Kro Tum Rukh Mere Darr Ka Aur Rooth Jaoun Main
Iss Dil Ki Bhlaa Ab Aisi Kia Majaal Hy . . . .

Shab Bhar Behas Rahi Dil-o-Dimaagh Ki Tere Mutaliq
Kon Jeeta Kon Haara Yeh Bhi Ik Sawaal Hy . . . . .

Uthaaye Itne Zulm-o-Sitam K Shaayad Mile Ab Jannat
Wah Re Waah Khyaal, Tu Kitna Khush Khyaal Hy . . .

Hy Jaam Sy Mohabbat Aur Saaqi Sy Rqaabat
Tum Zra Tasawwar To Karo Hamara Kia Haal Hy

Bohat Sabaq Sikhaaye Bohat Pehlu Dikhaaye
Zindagi Tujhe Main Apna Ustaad Kar Raha Houn

Dhaaye Hain Zamaane Ne Iss Qadar Zulm-o-Sitam
Keh Khamosh Bethe Ab Rehm-e-Faryaad Kar Raha Houn

Umar Ka Ik Hissa Bari Shiddat Sy Guzara Hy
Halaat Be Rukhi Ne Hum Ko Bara Maara Hy

Zaahir Karoun Ga To Sooli Charhaa Dain Gy Loog
Khyaal Mehfooz Apne Khyalaat Kar Raha Houn . .

Jeete Thy Zindagi Abb Kaat,te Hain Waqt
Jaane Jaam-e-Mohabbat Ka Konsa Piya Pyala Hy

Raat Achaanak Tera Khyaal Jo Aaaya
Aankh Hamaari Phir Namm-e-Lahoo Rahi

Sitam Zareefi K Bane Bethe Majnooo
Barsoon Chehra Kisi Laila Ka Yaad Kar Raha Houn

Thak Sa Gyaa Main Karte Shikwe Shikaayten
Abb Ki Baar Main Samjhoota Hayaat Kr Raha Houn

Bhlaa Qaasid Sy Ab Hum Kia Gilaa Krain . . . . . .
Sitam Zareef Ne Ussko Sheesha Main Utaar Daala Hy